गज़ल – Ghazal

(१) ढलती शामों के उलझे साये में परवाज़ भी है

गुज़री रातों की सियाही में छुपा आज भी है

(२) मुर्दा चीखों में सुलगता है आनेवाला कल

बुझते शोलों में उम्मीदों का ईक आगाज़ भी है

(३) हैं कई दौर छुपे उम्र की गहराई में

हम हैं, तुम हो, और कई राज़ भी हैं

(४) बुत्कशी इल्म कभी, गर्दिश-ए-एहसास कभी

है अज़ां शोर कभी, कभी दाउद की आवाज़ भी है

(५) कह दो अपने खुदा से कल ना मुझॆ दिखलाए

झूठे वादों से शायर को ऐतराज़ भी है

dhalti shamon ki uljhe saaye mein parwaaz bhi hai
guzri raaton ki siyaahi mein chupa aaj bhi hai

murda cheekhon mein sulagta hai aane wala kal
bujhte sholon mein umeedon ka ik aagaaz bhi hai

hain kaii dauur chupe umR ki gehraii mein
hum hain, tum ho, aur koi raaz bhi hai

butKashi ilm kabhi, gardish-e-ehsaas kabhi
hai azaan shor kabhi, kabhi dawood ki awaaz bhi hai

keh do apne khuda se kal na mujhe dikhlaaye
jhoothe waadon se shayar ko aitraaz bhi hai

Technorati Tags: , ,

%d bloggers like this: