Dikhayi Diye Yun … The original ghazal
January 17, 2008 8 Comments
A lot of you people out there must have liked/loved this ghazal from the movie Bazaar – dikhayi diye yun ki bekhud kiya… humein aap se bhi judaa kar chale. A little while back, I found this complete version of the original version of this ghazal. Its so beautiful that I just thought I would post it here… (Video towards the end)
**********************************************
faqeeraana aa’ye sadaa kar chale
miyaaN Khush raho ham du’aa kar chale
jo tujh bin na jeene ko kehte the ham
so is ehd ko ab vafaa kar chale
shifaa apnee taqdeer hee meN na thee
k maqdoor tak to davaa kar chale
vo kyaa cheez hai aah jis ke li’ye
har ik cheez se dil uThaa kar chale
paRe aise asbaab paayaan e kaar
k naachaar yooN jee jalaa kar chale*
ko’yee naa-umeedana karte nigaah
so tum ham se moonh bhee chhupaa kar chale
bahut aarzoo thee galee kee tiree
so yaaN se lahoo meN nahaa kar chale
dikhaa’yee di’ye yooN k bai-Khud kiyaa
hameN aap se bhee judaa kar chale
jabeeN sijda karte hee karte ghisee*
haq e bandagee ham adaa kar chale
parishtish kee yaaN tak k ai but tujhe
nazar meN sabhoN kee Khudaa kar chale
jhaRe jis tarah* phool gul-ban se yooN
chaman meN jahaaN ke ham aa kar chale
na dekhaa Gham e daustaaN shukr hai
hameeN daaGh apnaa dikhaa kar chale
ga’yee umr dar band e fikr e Ghazal
so ye kaam aisaa baRaa kar chale
kaheN kyaa jo poochhe ko’yee ham se Mir
jahaaN meN tum aa’ye the kyaa kar chale
Needless to point out.. its Mir Taqi Mir at his best!