hum jaane kya kya kar aaye

Another one from the offline archives that never made to the blog this year.

 

Hum jaane kya kya kar aaye
Ye muththi khaali kar aaye
Jor laga ke bheenchi par
Hun ret na kaabu kar paaye

Paani ki tarah sab pighal gaya
In aankhon se aansoo ban kar
Kuch sapne humne tod liye
Do aankhein khaali kar aaye

Ab haath khule par dua nahi
Ab zakhm khule hain, dawaa nahi
Apni zebein khali kar ke
Allah ka daaman bhar aaye

Kaatenge kaise baaki umar
Is baat pe charcha kya karna
Tasveer bitha ke is ghar mein
Hum tumko rukhsat kar aaye

Tum baith wahan khush khush hoge
Hum roz yahan kuch rote hain
Har roz koi kissa keh kar
Hum dil pe marham kar aaye

%d bloggers like this: